Monday, June 11, 2012

safar..




koi ho to achchhi baat hai,
gar na bhi ho , na fikr kar,

tu khud hi apna rahnuma,
aur raah teri hamsafar....

kya haath mein laaya hai jo,
hoga tujhe lutne ka dar,

peechhey na mud,bas chalta chal,
yun qadam gin'na khatm kar...

wo timtimaati raushni ,
rah rah ke tujhse kah rahi,

thodi si doori hai bachi,
nazdeek hai manzil teri,

do din yahaan aaram kar,
aur phir shuru kar ek safar...

nayi manzilein hain pukaarti ,
nayi rahguzar ki talaash kar.

-sarfar
az

No comments:

Post a Comment